शहरों में पाँव है।
दिलों में गाँव है।
धूप में जहाँ की,
तेरी यादें छाँव है।
आँखें पत्ते फेंट रहीं,
सपनों पर दाँव है।
बारिश जरा रुकना!
कागज़ की नाँव है।
माँ की गोद, पहली
aur आखिरी ठाँव है।
=============
Shaharon me paon hai.
Dilon me gaon hai.
dhoop me jahan ki,
teri yaaden chhaon hai.
Aankhen patte fent rahi,
Sapno par daon hai.
Barish jara rukna,
Kagaz ki naaon hai.
Maa ki god pahli
Aur aakhiri thaon hai.
================
: राकेश जाज्वल्य.
No comments:
Post a Comment