बूंद इक बारिश की उसके जुल्फ पर ठहरी हुई,
खाके बल जैसे के नदिया और भी गहरी हुई.
गालों पर उसके रुकी सी इक अलग मुस्कान है,
चाँद के घर रात जैसे चांदनी ठहरी हुई.
देती है दिल को तसल्ली यूँ तो पूरा दिन मगर,
जाके दरवाजे पे रातों को नजर ठहरी हुई.
तेरी वो चुनरी जो लहराती फिरे थी कल तलक,
आके अब बाँहों में मेरी बे-खबर ठहरी हुई.
है बड़ी मासूम मौसम से तेरी शिकायतें,
आके क्यूँ बरखा मुई मेरी छत पे है ठहरी हुई.
---------------------------------------------
bund ik barish ki uske julf par thahri hui,
Khake bal jaise ke nadiya aur bhi gahri hui.
galon par uske ruki si ik alag muskan hai,
chand ke ghar rat jaise chandani thahri hui.
Deti hai dil ko tassalli yun to pura din magar,
jake darwaje pe raton ko najar thahri hui.
Teri vo chunri jo lahrati fire thi kal talak,
Aake ab bahon me meri be-khabar thahri hui.
Hai badi masum mausam se teri shikayten,
Aake kyun barkha mui meri chhat pe hai thahri hui.
------------------------------------------------------
:rakesh jajvalya
1 comment:
Waah ! Waah ! Waah !
Lajawaab.....bahut hi sundar rachna....pahla sher to itna sundar hai ki sara dhyan atka leta hai..
Post a Comment