बैठो जरा ठहर कर जाना.
अपना घर है फिर-फिर आना.
इक शहर के हम अजनबी, पर
सोचो तो निकलेगा रिश्ता पुराना.
पलकों पे आँसूं के बादल भी हों तो,
होठों से है सबको हँसना- हँसाना.
जब भी लगे रिश्ते बोनसाई-से,
आँगन में पीपल का पौधा लगाना.
रुमालों पे रातों की लिखी कहानी,
दिन में सभी की नज़र से बचाना.
तेरी ही सोहबत में रक्खा है दिल को,
बिगड़ेगा जब तब-की देखेंगें जानां.
----------------------------------
baitho jara thahar kar jana.
apna ghar hai fir-fir aana.
ik shahar ke hum ajnabi, par
socho to niklega rishta purana.
palkon pe aansu ke badal bhi ho to,
hothon se hai sabko hasna-hasana.
jab bhi lage riste bonsai-se,
aangan me pipal ka paudha lagana.
rumalon pe raton ki likhi kahani,
din me sabhi ki nazar se bachana.
teri hi sohbat me rakkha hai dil ko,
bigdega jab tab-ki dekhenge jana.
-------------------------------------------
: rakesh jajvalya
1 comment:
रुमालों पे रातों की लिखी कहानी Good.
Post a Comment